din mein bhi hasrat-e-mahtab liye phirte hain
hae kya log hain kya KHwab liye phirte hain
hum kahan manzar-e-shadab liye phirte hain
dar-ba-dar dida-e-KHun-nab liye phirte hain
wo qayamat se to pahle nahin milne wala
kis liye phir dil-e-betab liye phirte hain
hum se tahzib ka daman nahin chhoDa jata
dasht-e-wahshat mein bhi aadab liye phirte hain
saltanat hath se jati rahi lekin hum log
chand baKHshe hue alqab liye phirte hain
ek din hona hai miTTi ka niwala phir bhi
jism par atlas-o-kamKHwab liye phirte hain
ham-nawai kahan hasil hai kisi ki mujh ko
ham-nawaon ko to ahbab liye phirte hain
kis liye log hamein sar pe biThaenge faragh
hum kahan ke par-e-surKHab liye phirte hain
Ghazal
Din mein bhi hasrat-e-mahtab liye phirte hain
Faragh Rohvi