dilon ki uqda-kushai ka waqt hai ki nahin
ye aadmi ki KHudai ka waqt hai ki nahin
kaho sitara-shanaso falak ka haal kaho
ruKHon se parda-kushai ka waqt hai ki nahin
hawa ki narm-rawi se jawan hua hai koi
fareb-e-tang-qabai ka waqt hai ki nahin
KHalal-pazir hua rabt-e-mehr-o-mah mein waqt
bata ye tujh se judai ka waqt hai ki nahin
alag siyasat-e-darban se dil mein hai ek baat
ye waqt meri rasai ka waqt hai ki nahin
dilon ko markaz-e-asrar kar gai jo nigah
usi nigah ki gadai ka waqt hai ki nahin

Ghazal
Dilon ki uqda-kushai ka waqt hai ki nahin
Aziz Hamid Madni