dildar us ko KHwah dil-azar kuchh kaho
sunta nahin kisu ki mera yar kuchh kaho
ghamza ada nigah tabassum hai dil ka mol
tum bhi agar ho us ke KHaridar kuchh kaho
shirin ne kohkan se mangai thi ju-e-shir
gar imtihan hai us se bhi dushwar kuchh kaho
har aan aa mujhi ko satate ho naseho
samjha ke tum use bhi to yak-bar kuchh kaho
ai sakinan-e-kunj-e-qafas subh ko saba
sunte hain jaegi su-e-gulzar kuchh kaho
aalam ki guftugu se to aati hai bu-e-KHun
banda hai ek nigah ka gunahgar kuchh kaho
'sauda' muwafaqat ka sabab jaanta hai yar
samjhe muKHalif us ko kuchh aghyar kuchh kaho
Ghazal
Dildar usko KHwah dil-azar kuchh kaho
Sauda Mohammad Rafi