اردو हिंदी
Dil to karta hai KHair karta hai | Shaahi Shayari
dil to karta hai KHair karta hai

Ghazal

Dil to karta hai KHair karta hai

Kumar Vishwas

;

dil to karta hai KHair karta hai
aap ka zikr ghair karta hai

kyun na main dil se dun dua us ko
jabki wo mujh se bair karta hai

aap to hu-ba-hu wahi hain jo
mere sapnon mein sair karta hai

ishq kyun aap se ye dil mera
mujh se puchhe baghair karta hai

ek zarra duaen man ki le
aasmanon ki sair karta hai