dil se KHayal-e-dost bhulaya na jaega
sine mein dagh hai ki miTaya na jaega
tum ko hazar sharm sahi mujh ko lakh zabt
ulfat wo raaz hai ki chhupaya na jaega
ai dil raza-e-ghair hai shart-e-raza-e-dost
zinhaar bar-e-ishq uThaya na jaega
dekhi hain aisi un ki bahut mehrbaniyan
ab hum se munh mein maut ke jaya na jaega
mai tund o zarf-e-hausla-e-ahl-e-bazm tang
saqi se jam bhar ke pilaya na jaega
raazi hain hum ki dost se ho dushmani magar
dushman ko hum se dost banaya na jaega
kyun chheDte ho zikr na milne ka raat ke
puchhenge hum sabab to bataya na jaega
bigDen na baat baat pe kyun jaante hain wo
hum wo nahin ki hum ko manaya na jaega
milna hai aap se to nahin hasr ghair par
kis kis se iKHtilat baDhaya na jaega
maqsud apna kuchh na khula lekin is qadar
yani wo DhunDte hain jo paya na jaega
jhagDon mein ahl-e-din ke na 'haali' paDen bas aap
qissa huzur se ye chukaya na jaega
Ghazal
Dil se KHayal-e-dost bhulaya na jaega
Altaf Hussain Hali