dil o nazar mein tere rup ko basata hua
teri gali se guzarta hun jagmagata hua
ghazal ke phul mere zehn mein mahakte hue
tera KHayal mujhe raat bhar jagata hua
wo bargah-e-adab hai aqidaton ki jagah
main us gali se kyun guzrunga KHak uData hua
mere junun se harifon ke panw ukhaDte hue
main jaan dene ke chakkar mein jaan bachata hua
kise mila tere qadmon mein jaan de dena
main sruKH-ru hua chahat ke kaam aata hua
tumhaari yaad mujhe is tarah se lagti hai
koi charag andhere mein jhilmilata hua
hatheliyon ki lakiren mujhe parakhti huin
main har qadam pe muqaddar ko aazmata hua
jawab kyun hain sabhi KHamoshi mein dubke hue
sawal zehn ke aangan mein aata jata hua
mere KHilaf sabhi sazishen rachin jis ne
wo ro raha hai meri dastan sunata hua
hamari samt lagatar war hote hue
use bachane mein aksar main choT khata hua
Ghazal
Dil o nazar mein tere rup ko basata hua
Irshad Khan ’Sikandar’