dil ne chaha tha jise apne sahaare ki tarah 
gham usi shaKHs ka bhaDka hai sharare ki tarah 
tera ehsan na bhulunga gham-e-yar ki tu 
roz sajta hai meri aankh mein tare ki tarah 
kitne ilham ke rangon se ranga hai chehra 
jis ko paDhta hun main quran ke pare ki tarah 
shoala lapka hai tere husn ka aise bhi kabhi 
sher mere bhi hue shoKH angare ki tarah 
ek nishan ret pe dekha tha musalsal bante 
marte lamhon mein kahin dur kinare ki tarah 
gudgudata hai teri yaad ka mausam dil ko 
khilkhilate hue phulon ke nazare ki tarah 
wasl ke pal bhi bujhi rakh ki surat Thahre 
sard-mehri se kiye ek ishaare ki tarah
        Ghazal
Dil ne chaha tha jise apne sahaare ki tarah
Owaisul Hassan Khan

