dil mubtala-e-lazzat-e-azar hi raha
marna firaq-e-yar mein dushwar hi raha
har dam ye shauq tha use qurban kijiye
main wasl mein bhi jaan se be-zar hi raha
ehsan-e-afw-e-jurm se wo sharmsar hun
baKHsha gaya main to bhi gunahgar hi raha
hoti hain har tarah se meri pasdariyan
dushman ke pas bhi wo mera yar hi raha
din pahluon se Tal diya kuchh na kah sake
har chand un ko wasl ka inkar hi raha
zahid ki tauba tauba rahi ghunT ghunT par
sau botalen uDa ke bhi hushyar hi raha
dekhin hazar rashk-e-masiha ki suraten
achchha raha jo ishq ka bimar hi raha
sadqe mein tum ne chhoD diye hain bahut asir
main bhi riha hua ki giraftar hi raha
lazzat wafa mein hai na kisi ki jafa mein hai
dildar hi raha na dil-azar hi raha
jalwe ke baad wasl ki KHwahish zarur thi
wo kya raha jo aashiq-e-didar hi raha
kahte hain jal ke ghair mohabbat se 'dagh' ki
mashuq us ke pas wafadar hi raha
Ghazal
Dil mubtala-e-lazzat-e-azar hi raha
Dagh Dehlvi