اردو हिंदी
Dil mein to bahut kuchh hai zaban tak nahin aata | Shaahi Shayari
dil mein to bahut kuchh hai zaban tak nahin aata

Ghazal

Dil mein to bahut kuchh hai zaban tak nahin aata

Ram Riyaz

;

dil mein to bahut kuchh hai zaban tak nahin aata
main jitna chalun phir bhi yahan tak nahin aata

logon se Dare ho to mere sath chale aao
is raste mein koi makan tak nahin aata

is zid pe tera zulm gawara kiya hum ne
dekhen ki tujhe rahm kahan tak nahin aata

ek ek sitara meri aawaz pe bola
main itni bulandi se wahan tak nahin aata

aansu jo bahen surKH to ho jati hain aankhen
dil aisa sulagta hai dhuan tak nahin aata