dil kyun tapan hai kucha-e-dildar dekh kar
aage baDhunga charKH ki raftar dekh kar
KHush ho saka na haal-e-dil-e-zar dekh kar
jalta hai ghair meri shab-e-tar dekh kar
samjhe na aap dida-e-KHun-bar dekh kar
kya kijiyega haal-e-dil-e-zar dekh kar
sayyaad dagh-e-dil na samajhna ki chalte waqt
gulshan ke phul laya hun do-chaar dekh kar
tai kar ke aaj KHana-badoshi ki manzilen
baiTha hun us ka saya-e-diwar dekh kar
kuchh kuchh zamana jaan gaya kar-e-husn-o-ishq
mansur ko jahan mein sardar dekh kar
waqf-e-zaban-e-ahl-e-hasad hai lahu mera
KHush ho raha hun wadi-e-pur-KHar dekh kar
patthar nahin ki tur ke daur aazmae jaen
ai barq-e-husn haal-e-dil-e-zar dekh kar
ab dahr ru-shana-o-wafa-o-jafa hua
mere gale par aap ki talwar dekh kar
mahshar mein koi puchhne wala to mil gaya
rahmat baDhi hai mujh ko gunahgar dekh kar
hai raushni qafas mein magar sujhta nahin
abr-e-siyah jaanib-e-gul-zar dekh kar
rota hun sham-e-gham mein dil-e-gum-shuda ko main
yaad aa rahi hai sham-e-shab-tar dekh kar
chaliye magar KHayal rahe umr-e-dahr ka
tham jae aasman na ye raftar dekh kar
rota hun waqt-e-nala guzarne se aur bhi
shab ko tulu-e-subh ke aasar dekh kar
bas ek din ki baat hai ai ishq-e-la-zawal
main kya karunga misr ka bazar dekh kar
kya tha ki aise waqt mein sahab-dilan-e-hashr
dekha kiye mujhe teri talwar dekh kar
sad-chaak dil ka zikr na bhula main der mein
tasbih yaad aa gai zunnar dekh kar
TuTe hain shisha-ha-e-dil itne ki ahl-e-dard
rakhte hain panw KHak pe sau bar dekh kar
sayyaad kis jagah pe qafas hai ki dil mera
dar ho raha hai bagh ki diwar dekh kar
in doston mein wo na hon yarab jo waqt-e-did
bimar ho gae ruKH-e-bimar dekh kar
wo kya samajh sakenge nasheb-o-faraaz-e-dahr
jo chal rahe hain rah ko hamwar dekh kar
kahte hain dil-lagi meri sham-e-firaq ko
achchha yunhi sahi magar ek bar dekh kar
'saqib' ajab nahin ki sar-e-tur-e-imtihan
ghash dil ko aae jalwa-e-ashaar dekh kar
Ghazal
Dil kyun tapan hai kucha-e-dildar dekh kar
Saqib Lakhnavi