dil ko sukun ruh ko aaram aa gaya
maut aa gai ki dost ka paigham aa gaya
jab koi zikr-e-gardish-e-ayyam aa gaya
be-iKHtiyar lab pe tera nam aa gaya
gham mein bhi hai surur wo hangam aa gaya
shayad ki daur-e-baada-e-gulfam aa gaya
diwangi ho aql ho ummid ho ki yas
apna wahi hai waqt pe jo kaam aa gaya
dil ke muamlat mein naseh shikast kya
sau bar husn par bhi ye ilzam aa gaya
sayyaad shadman hai magar ye to soch le
main aa gaya ki saya tah-e-dam aa gaya
dil ko na puchh marka-e-husn-o-ishq mein
kya jaaniye gharib kahan kaam aa gaya
ye kya maqam-e-ishq hai zalim ki in dinon
aksar tere baghair bhi aaram aa gaya
ahbab mujh se qat-e-talluq karen 'jigar'
ab aaftab-e-zist lab-e-baam aa gaya
Ghazal
Dil ko sukun ruh ko aaram aa gaya
Jigar Moradabadi