dil ko nasib gham ki qayaadat nahin rahi
ab justaju-e-aish mein lazzat nahin rahi
nairang-e-chashm-e-dost hai mujh par asar-pazir
ab marg-o-zist mein wo raqabat nahin rahi
badli hui hai qadr-e-gareban daridgi
ya KHanda-ha-e-gul mein sadaqat nahin rahi
apni tabiat aaj ba-faiz-e-gham-e-hayat
midhat kun-e-mata-e-latafat nahin rahi
shikwa ghalat hai rahmat-e-parwardigar se
mujh ko hi qadr-e-ashk-e-nadamat nahin rahi
irfan aaj randa-e-darga-e-aql hai
uf aashti-e-chashm-o-basarat nahin rahi
khulne laga hai aatish-e-sayyal ka bharam
ab bazm-e-mai bhi bais-e-'farhat' nahin rahi

Ghazal
Dil ko nasib gham ki qayaadat nahin rahi
Prem Shankar Goila Farhat