dil ko dard-ashna kiya tu ne
dard-e-dil ko dawa kiya tu ne
tab-e-insan ko di sirisht-e-wafa
KHak ko kimiya kiya tu ne
wasl-e-jaanan muhaal Thahraya
qatl-e-ashiq rawa kiya tu ne
tha na juz gham bisat-e-ashiq mein
gham ko rahat-faza kiya tu ne
jaan thi ek wabaal furqat mein
shauq ko jaan-guza kiya tu ne
thi mohabbat mein nang minnat-e-ghair
jazb-e-dil ko rasa kiya tu ne
rah zahid ko jab kahin na mili
dar-e-mai-KHana wa kiya tu ne
qata hone hi jab laga paiwand
ghair ko aashna kiya tu ne
thi jahan karwan ko deni rah
ishq ko rahnuma kiya tu ne
naw bhar kar jahan Duboni thi
aql ko naKHuda kiya tu ne
baDh gai jab pidar ko mehr-e-pisar
us ko us se juda kiya tu ne
jab hua mulk o mal rahzan-e-hosh
baadshah ko gada kiya tu ne
jab mili kaam-e-jaan ko lazzat-e-dard
dard ko be-dawa kiya tu ne
jab diya rah-rau ko zauq-e-talab
sai ko na-rasa kiya tu ne
parda-e-chashm the hijab bahut
husn ko KHud-numa kiya tu ne
ishq ko tab-e-intizar na thi
ghurfa ek dil mein wa kiya tu ne
haram aabaad aur dair KHarab
jo kiya sab baja kiya tu ne
saKHt afsurda taba thi ahbab
hum ko jadu nawa kiya tu ne
phir jo dekha to kuchh na tha ya rab
kaun puchhe ki kya kiya tu ne
'haali' uTTha hila ke mahfil ko
aaKHir apna kaha kiya tu ne
Ghazal
Dil ko dard-ashna kiya tu ne
Altaf Hussain Hali