اردو हिंदी
Dil ki baat labon par la kar ab tak hum dukh sahte hain | Shaahi Shayari
dil ki baat labon par la kar ab tak hum dukh sahte hain

Ghazal

Dil ki baat labon par la kar ab tak hum dukh sahte hain

Habib Jalib

;

dil ki baat labon par la kar ab tak hum dukh sahte hain
hum ne suna tha is basti mein dil wale bhi rahte hain

bit gaya sawan ka mahina mausam ne nazren badlin
lekin in pyasi aankhon se ab tak aansu bahte hain

ek hamein aawara kahna koi baDa ilzam nahin
duniya wale dil walon ko aur bahut kuchh kahte hain

jin ki KHatir shahr bhi chhoDa jin ke liye badnam hue
aaj wahi hum se begane begane se rahte hain

wo jo abhi is rahguzar se chaak-gareban guzra tha
us aawara diwane ko 'jalib' 'jalib' kahte hain