dil ki aag jawani ke ruKHsaron ko dahkae hai
bahe pasina mukhDe par ya suraj pighla jae hai
man ek nanha sa baalak hai humak humak rah jae hai
dur se mukh ka chand dikha kar kaun use lalchae hai
mai hai teri aankhon mein aur mujh pe nasha sa tari hai
nind hai teri palkon mein aur KHwab mujhe dikhlae hai
tere qamat ki larzish se mauj-e-mai mein larzish hai
teri nigah ki masti hi paimanon ko chhalkae hai
tera dard salamat hai to marne ki ummid nahin
lakh dukhi ho ye duniya rahne ki jagah ban jae hai
Ghazal
Dil ki aag jawani ke ruKHsaron ko dahkae hai
Ali Sardar Jafri