dil ke zaKHmon pe wo marham jo lagana chahe
wajibaat apne purane wo chukana chahe
meri aankhon ki samundar mein utarne wala
aisa lagta hai mujhe aur rulana chahe
dil ke aangan ki kaDi dhup mein ek doshiza
marmarin bhiga hua jism sikhana chahe
saikDon log the maujud sar-e-sahil-e-shauq
phir bhi wo shoKH mere sath nahana chahe
aaj tak us ne nibhaya nahin wada apna
wo to har taur mere dil ko satana chahe
main ne suljhae hain us shoKH ke gesu akasr
ab isi jal mein mujh ko wo phansana chahe
main to samjha tha faqat zehn ki taKHliq hai wo
wo to sach-much hi mere dil mein samana chahe
us ne phailai hai KHud apni alalat ki KHabar
wo 'ziya' mujh ko bahane se bulana chahe
Ghazal
Dil ke zaKHmon pe wo marham jo lagana chahe
Zia-ul-Haq Qasmi