dil ke sune sahn mein gunji aahaT kis ke panw ki
dhup-bhare sannaTe mein aawaz suni hai chhanw ki
ek manzar mein sare manzar pas-manzar ho jaane hain
ek dariya mein mil jaani hain lahren sab dariyaon ki
dasht-nawardi aur hijrat se apna gahra rishta hai
apni miTTi mein shamil hai miTTi kuchh sahraon ki
barish ki bundon se ban mein tan mein ek bahaar aai
ghar ghar gae git gagan ne gaunjin galiyan ganw ki
subh sawere nange panw ghas pe chalna aisa hai
jaise bap ka pahla bosa qurbat jaise maon ki
ek jaisa ehsas lahu mein jita jagta rahta hai
ek udasi de jati hai dastak roz hawaon ki
sinon aur zaminon ka ab manzar-nama badlega
har su kasrat ho jaani hai phulon aur duaon ki
Ghazal
Dil ke sune sahn mein gunji aahaT kis ke panw ki
Hammad Niyazi