dil ke kahne pe chalun aql ka kahna na karun
main isi soch mein hun kya karun aur kya na karun
zindagi apni kisi tarah basar karna hai
kya karun aah agar teri tamanna na karun
majlis-e-waz mein kya meri zarurat naseh
ghar mein baiTha hua shughl-e-mai-o-mina na karun
mast hai haal mein dil be-KHabar-e-mustaqbil
sochta hun use hushyar karun ya na karun
kis tarah husn-e-zaban ki ho taraqqi 'wahshat'
main agar KHidmat-e-urdu-e-mualla na karun
Ghazal
Dil ke kahne pe chalun aql ka kahna na karun
Wahshat Raza Ali Kalkatvi