اردو हिंदी
Dil ke hote bhi kahin dard juda hota hai | Shaahi Shayari
dil ke hote bhi kahin dard juda hota hai

Ghazal

Dil ke hote bhi kahin dard juda hota hai

Saqib Lakhnavi

;

dil ke hote bhi kahin dard juda hota hai
ek faqat maut ke aa jaane se kya hota hai

zulm se zikr-e-wafa aur siwa hota hai
un ki har ek burai mein bhala hota hai

shohda nemat-e-duniya ki talab bhul gae
KHun ke ghunT mein aisa hi maza hota hai

KHud-faramoshi-e-ulfat hai ilaj-e-gham-e-dahr
be-KHabar hosh mein aana hi bura hota hai

imtihan-gah teri mahfil-e-dilkash hai magar
main bhi dekhun ki koi dil ke siwa hota hai

tum se kahta hun mera KHun mere dil pe sahi
rasm-e-duniya hai ki apnon se gila hota hai

bazm se uTh to chala main ki mahal tha lekin
rone walon se bhala koi KHafa hota hai

dekh hi lete hain sab naz-o-ada ki surat
aaina aap ka naqsh-e-kaf-e-pa hota hai

nala-e-dil ke asar ka na karo mujh se gila
mujh ko kya ilm ki kis tarah rasa hota hai

tauba tauba hai yahi ishq ki baatil nazari
sang but-KHane mein aate hi KHuda hota hai

kya sabab kuchh tujhe malum hai ai abr-e-bahaar
dil ke murjhane se kyun zaKHm hara hota hai

wo kahen ya na kahen main hun asar se waqif
bol uThta hai wo nala jo rasa hota hai

raushni din ki abhi hai ki hain khoe hue hosh
dekhna hai shab-e-tarik mein kya hota hai

hijr ke dard ko baDhne de ki hai muzhda-e-wasl
wahi ghaTta hai jahan mein jo siwa hota hai

bad-nasibi ho to har KHub ki KHubi hai fuzul
subh ka waqt sitaron ko bura hota hai

dil to dil sar bhi kabhi hota hai mamnun-e-firaq
jis mein hai ishq ye sauda wo juda hota hai

mere raazi ba-raza hone se sab raazi hain
warna jo hai wo shikayat se KHafa hota hai

awwalin marhala-e-ishq hai jab hasrat-o-maut
koi batlae ki phir baad mein kya hota hai

bim-o-ummid se kis tarah nikal jaun ki dil
na Thaharta hai jahan mein na fana hota hai

muntazir naza mein chup hai to use chup na samajh
dam ka ruk ruk ke nikalna bhi gila hota hai

shab-e-tarik mein nikla to hai dekhun 'saqib'
na-rasa rahta hai nala ki rasa hota hai