dil ka darwaza khula ho jaise
aur koi jhank raha ho jaise
dhyan tera sahar-o-sham nahin
tu mujhe bhul gaya ho jaise
dil mein kuchh aur labon par kuchh aur
tark-e-ulfat ki dua ho jaise
phir wahi zulm wahi KHalq-e-KHuda
KHushk patton mein hawa ho jaise
shahr-e-bedad mein hubb-ul-watani
ek munafiq ki wafa ho jaise
dard be-nur hua jata hai
kam-nigahi ki saza ho jaise
dafatan zehn mein wo gardish-e-mai
ek bagula sa uTha ho jaise
muddaton baad sar-e-rahguzar
ajnabi koi mila ho jaise
jura-o-lams ki daryuza-gari
ruh mein qaht paDa ho jaise
yaad yun dil se guzarti hai 'munir'
dasht mein aabla-pa ho jaise

Ghazal
Dil ka darwaza khula ho jaise
Syed Muneer