dil hi the hum dukhe hue tum ne dukha liya to kya
tum bhi to be-aman hue hum ko sata liya to kya
aap ke ghar mein har taraf manzar-e-mah-o-aftab
ek charagh-e-sham agar main ne jala liya to kya
bagh ka bagh aap ki dastaras-e-hawas mein hai
ek gharib ne agar phul uTha liya to kya
lutf ye hai ki aadmi aam kare bahaar ko
mauj-e-hawa-e-rang mein aap naha liya to kya
ab kahin bolta nahin ghaib jo kholta nahin
aisa agar koi KHuda tum ne bana liya to kya
jo hai KHuda ka aadmi us ki hai saltanat alag
zulm ne zulm se agar hath mila liya to kya
aaj ki hai jo karbala kal pe hai us ka faisla
aaj hi aap ne agar jashn mana liya to kya
log dukhe hue tamam rang bujhe hue tamam
aise mein ahl-e-sham ne shahr saja liya to kya
paDhta nahin hai ab koi sunta nahin hai ab koi
harf jaga liya to kya sher suna liya to kya
Ghazal
Dil hi the hum dukhe hue tumne dukha liya to kya
Obaidullah Aleem