dil hi girdab-e-tamanna hai yahin Dubte hain 
apne hi gham mein tere KHak-nashin Dubte hain 
dil faqirana tha mahr o mah o anjum na bane 
KHas ki manind rahe hum ki nahin Dubte hain 
hum agar Dube to kya kaun se aaise hum the 
shahr ke shahr jahan zer-e-zamin Dubte hain 
apni ruposhi tah-e-KHak muqaddar hai to kya 
Dubne ko to sitare bhi kahin Dubte hain 
naKHuda ho ki KHuda dekhte rah jate hain 
kashtiyan Dubti hain us ke makin Dubte hain 
par utarna hai to kya mauj-e-bala kaam-e-nahang 
dosto aao chalo pahle hamin Dubte hain 
ishq wo bahr 'mujibi' hai ki dekha hum ne 
KHar-o-KHas par hue ahl-e-yaqin Dubte hain
        Ghazal
Dil hi girdab-e-tamanna hai yahin Dubte hain
Siddique Mujibi

