dil hai bahr-e-be-karan dil ki umang
chaar mauj chaar su hai chaar rang
mauj-e-awwal hai juz-o-kul mein muhit
sar-ba-sar kibr-o-mina ka rang-Dhang
hai tasawwur doyami mauj-e-KHayal
farsh se ta-arsh jis ki hai tarang
soyami hai aql mahdud-o-salim
mante hain jis ka loha sab dabang
dil ki hai mauj-e-chahaarum wahima
dam-ba-dam jis ki anokhi hai umang
chaar dang-e-alam-e-ijad mein
chaar maujen hain baham aur KHana-jang
jaan ki tahrik se hai sab numud
KHwah dil hai KHwah hai dil ki umang
hain isi tahrik mein aaKHir fana
shama ki lau mein fana jaise patang
aql ki saiqal se ho jata hai pak
dil ke aaine ko jab lagta hai zang
ilm mein hai hasti-e-dil be-sabaat
jaise 'sahir' aab-e-dariya mein tarang

Ghazal
Dil hai bahr-e-be-karan dil ki umang
Sahir dehlavi