dil-e-mayus mein wo shorishen barpa nahin hotin
ummiden is qadar TuTin ki ab paida nahin hotin
meri betabiyan bhi juzw hain ek meri hasti ki
ye zahir hai ki maujen KHarij az dariya nahin hotin
wahi pariyan hain ab bhi raja indar ke akhaDe mein
magar shahzada-e-gulfam par shaida nahin hotin
yahan ki auraton ko ilm ki parwa nahin be-shak
magar ye shauharon se apne be-parwa nahin hotin
talluq dil ka kya baqi main rakkhun bazm-e-duniya se
wo dilkash suraten ab anjuman-ara nahin hotin
hua hun is qadar afsurda rang-e-bagh-e-hasti se
hawaen fasl-e-gul ki bhi nashat-afza nahin hotin
qaza ke samne bekar hote hain hawas 'akbar'
khuli hoti hain go aankhen magar bina nahin hotin
Ghazal
Dil-e-mayus mein wo shorishen barpa nahin hotin
Akbar Allahabadi