اردو हिंदी
Dil-e-fasurda use kyun gale laga na liya | Shaahi Shayari
dil-e-fasurda use kyun gale laga na liya

Ghazal

Dil-e-fasurda use kyun gale laga na liya

Shahzad Ahmad

;

dil-e-fasurda use kyun gale laga na liya
qarib rah ke bhi jis ne tera pata na liya

bas ek lamhe mein kya kuchh guzar gai dil par
bahaal hote hue hum ne ek zamana liya

kisi bhi haal mein pahunche to hain kinare par
yahi bahut hai ki ehsan-e-naKHuda na liya

KHayal aaya rawana hue safar ke liye
na hum ne raKHt hi bandha na aab-o-dana liya

main ji raha hun magar yaad-e-raftagan ki tarah
mujhe gae hue lamhon ne kyun bula na liya

tamam umr hawa phankte hue guzri
rahe zamin pe magar KHak ka maza na liya

azal se hai wahi be-kaif raushni ab tak
gulon ka rang sitaron ne kyun uDa na liya

jo tha aziz usi se gurez karte rahe
gali gali mein phire apna rasta na liya

umid shoala nahin aaftab hai 'shahzad'
charagh tha to hawaon ne kyun bujha na liya