اردو हिंदी
Dil Dubne laga hai tawanai chahiye | Shaahi Shayari
dil Dubne laga hai tawanai chahiye

Ghazal

Dil Dubne laga hai tawanai chahiye

Aashufta Changezi

;

dil Dubne laga hai tawanai chahiye
kuchh war mujh ko zahr-e-shanasai chahiye

kal tak the mutmain ki musafir hain raat ke
ab raushni mili hai to binai chahe

taufiq hai to wusat-e-sahra bhi dekh len
ye kya ki apne ghar ki hi angnai chahiye

arman tha tumhin ko ki sab sath mein rahen
ab tum hi kah rahe ho ki tanhai chahiye

halki si is jamahi se main mutmain nahin
band-e-qaba ka KHauf kya angDai chahiye

jo log aaine se bahut dur dur the
un ko bhi aaj bazm-e-KHud-arai chahiye

shaistagan-e-shahr mein mat kijiye shumar
mardud-e-KHalq hun mujhe ruswai chahiye