dil dhaDakta hai to aati hain sadaen teri 
meri sanson mein mahakne lagin sansen teri 
chand KHud mahw-e-tamasha tha falak par us dam 
jab sitaron ne utarin thin balaen teri 
sher to rose hi kahte hain ghazal ke lekin 
aa kabhi baiTh ke tujh se karen baaten teri 
zehn-o-dil tere tasawwur se ghire rahte hain 
mujh ko bahon mein liye rahti hain yaaden teri 
kyun mera nam mere sher likhe hain in mein 
chughliyan karti hain mujh se ye kitaben teri 
be-KHabar oT se tu jhank raha ho hum ko 
aur hum chupke se taswir bana len teri
        Ghazal
Dil dhaDakta hai to aati hain sadaen teri
Nawaz Deobandi

