dil bhi ehsasat bhi jazbaat bhi
kam nahin hain hum pe ilzamat bhi
rok do ye raushni ki tez dhaar
meri miTTi mein gundhi hai raat bhi
muqtadi mere sabhi main hun imam
hain kamal-e-ishq ke darjat bhi
chand apne aap ko kahte ho tum
aao dekhen ho gai hai raat bhi
dur tak hum bhigte chalte rahe
der tak hoti rahi barsat bhi
sath chalne mein pareshani bhi hai
hath mein thame hue hain hath bhi
Ghazal
Dil bhi ehsasat bhi jazbaat bhi
Nomaan Shauque