اردو हिंदी
Dil agar hota to mil jata nishan-e-arzu | Shaahi Shayari
dil agar hota to mil jata nishan-e-arzu

Ghazal

Dil agar hota to mil jata nishan-e-arzu

Qamar Jalalvi

;

dil agar hota to mil jata nishan-e-arzu
tum ne to mismar kar Dala makan-e-arzu

na-mukammal rah gaya aaKHir bayan-e-arzu
kahte kahte so gae hum dastan-e-arzu

dil pe rakh lo hath phir sunna bayan-e-arzu
dastan-e-arzu hai dastan-e-arzu

hazrat-e-musa yahan laghzish na kar jaana kahin
imtihan-e-arzu hai imtihan-e-arzu

dil mera dushman sahi lekin kahun to kya kahun
raaz-dan-e-arzu hai raaz-dan-e-arzu

tum to sirf ek did ki hasrat pe barham ho gae
kam se kam puri to sunte dastan-e-arzu