diwangi mein apna pata puchhta hun main
ai ishq is maqam pe to aa gaya hun main
Dar hai ki dam na toD dun ghuT ghuT ke ek din
barson se apne jism ke andar paDa hun main
tufan mein jo na bujh sake honge wo aur log
aandhi se iKHtilaf mein aksar bujha hun main
lagta hai lauT jaegi mayus nind phir
masruf us ki yaadon mein baiTha hua hun main
in hadson se kah de zara sabr to karen
ai zist teri bazm mein bilkul naya hun main
kirdar aadhe mar chuke aadhe palaT gae
is waqt kyun fasane mein laya gaya hun main
raushan karo mujhe ki zara tirgi haTe
bekar kab se taq pe rakkha hua hun main
aa aa ke kyun Thaharti hain mujh mein hi KHwahishen
hotel hun ya sarae hun batlao kya hun main
sau bar imtihan zaruri hai kya mera
kafi nahin hai kah diya tujh se tera hun main
kuchh to chamak dikhe mere ashaar mein mujhe
muddat se shaeri mein lahu thukta hun main
Ghazal
Diwangi mein apna pata puchhta hun main
Imran Husain Azad