dida-e-sang mein binai kahan se aae
zarf murda ho to sachchai kahan se aae
pyar tamir ho jab bughz ki buniyaadon par
milti nazron mein shanasai kahan se aae
gum hain rangon mein KHad-o-KHal bhi taswiron ke
pas-e-parda ka tamashai kahan se aae
meri har soch ke raste mein khaDa hai koi
aaina-KHane mein tanhai kahan se aae
meri aawaz KHamoshi ne mujhe lauTa di
mujh mein ab jurat-e-goyai kahan se aae
koi bhi dekhna chahe na kisi ko zinda
KHun ke pyason mein masihai kahan se aae
is qadar shauq dar-amad hai 'muzaffar' hum ko
sochte rahte hain ruswai kahan se aae
Ghazal
Dida-e-sang mein binai kahan se aae
Muzaffar Warsi