dida-e-ashk-bar le ke chale
hum teri yaadgar le ke chale
dil mein taswir-e-yar le ke chale
hum qafas mein bahaar le ke chale
KHwahish-e-did le ke aae the
hasrat-e-intizar le ke chale
samne us ke ek bhi na chali
dil mein baaten hazar le ke chale
hawas-e-gul mein hum bhi aae the
daman-e-tar-tar le ke chale
jo mere sath Dubna chahe
mujh ko dariya ke par le ke chale
tum se apna hi bar uTh na saka
hum zamane ka bar le ke chale
hum na isa na sarmad o mansur
log kyun su-e-dar le ke chale
bhar ke daman mein KHak us dar ki
hum to ku-e-nigar le ke chale
zindagi muKHtasar mili thi hamein
hasraten be-shumar le ke chale
rup naghmon ka de ke hum 'naushad'
apne dil ki pukar le ke chale
Ghazal
Dida-e-ashk-bar le ke chale
Naushad Ali