did ki ek aan mein kar-e-dawam ho gaya
wo bhi tamam ho gaya main bhi tamam ho gaya
ab main hun ek azab mein aur ajab azab mein
jannat-e-pur-sukut mein mujh se kalam ho gaya
aah wo aish-e-raaz-e-jaan hae wo aish-e-raaz-e-jaan
hae wo aish-e-raaz-e-jaan shahr mein aam ho gaya
rishta-e-rang-e-jaan mera nikhat-e-naz se teri
puKHta hua aur is qadar yani ki KHam ho gaya
puchh na wasl ka hisab haal hai ab bahut KHarab
rishta-e-jism-o-jaan ke bich jism haram ho gaya
shahr ki dastan na puchh hai ye ajib dastan
aane se shahryar ke shahr ghulam ho gaya
dil ki kahaniyan banin kucha-ba-kucha ku-ba-ku
sah ke malal-e-shahr ko shahr mein nam ho gaya
'jaun' ki tishnagi ka tha KHub hi majra ki jo
mina-ba-mina mai-ba-mai jam-ba-jam ho gaya
naf-piyale ko tere dekh liya mughan ne jaan
sare hi mai-kade ka aaj kaam tamam ho gaya
us ki nigah uTh gai aur mein uTh ke rah gaya
meri nigah jhuk gai aur salam ho gaya
Ghazal
Did ki ek aan mein kar-e-dawam ho gaya
Jaun Eliya