dhup sa u kapul nari hai 
kiran suraj ki wo kanari hai 
chhup raqiban sun aana nahin wo chand 
kya rain hijr ki andiyari hai 
nahin asar karta sabr ka marham 
dil-e-ashiq mein zaKHm kari hai 
gul-e-bagh-e-junun hai ruswai 
izzat-e-mulk-e-ishq KHwari hai 
KHun-e-dil baada-o-jigar hai kabab 
naghma-e-bazm-e-wasl zari hai 
laila majnun ka zikr sard hua 
ab tumhaari hamari bari hai 
milna aashiq sun hi bahane sun 
ye nasihat tuman hamari hai 
mujh kun mat jaano yaad sun ghafil 
raat din dil kun lau tumari hai 
dil bandha saKHt teri zulfan par 
aql 'faez' ki un bisari hai
        Ghazal
Dhup sa u kapul nari hai
Faez Dehlvi

