dhup nikli din suhane ho gae
chand ke sab rang phike ho gae
kya tamasha hai ki be-ayyam-e-gul
Tahniyon ke hath pile ho gae
is qadar roya hun teri yaad mein
aaine aankhon ke dhundle ho gae
hum bhala chup rahne wale the kahin
han magar haalat aise ho gae
ab to KHush ho jaen arbab-e-hawas
jaise wo the hum bhi waise ho gae
husn ab hangama-ara ho to ho
ishq ke dawe to jhuTe ho gae
ai sukut-e-sham-e-gham ye kya hua
kya wo sab bimar achchhe ho gae
dil ko tere gham ne phir aawaz di
kab ke bichhDe phir ikaTThe ho gae
aao 'nasir' hum bhi apne ghar chalen
band is ghar ke dariche ho gae
Ghazal
Dhup nikli din suhane ho gae
Nasir Kazmi