dhup mein saya bane tanha khaDe hote hain
baDe logon ke KHasare bhi baDe hote hain
ek hi waqt mein pyase bhi hain sairab bhi hain
hum jo sahraon ki miTTi ke ghaDe hote hain
aankh khulte hi jabin chumne aa jate hain
hum agar KHwab mein bhi tum se laDe hote hain
ye jo rahte hain bahut mauj mein shab bhar hum log
subh hote hi kinare pe paDe hote hain
hijr diwar ka aazar to hai hi lekin
is ke upar bhi kai kanch jaDe hote hain
Ghazal
Dhup mein saya bane tanha khaDe hote hain
Azhar Faragh