dhup ke rath par haft aflak
chaubaron ke sar par KHak
shahr-e-malamat aa pahuncha
sare manazir ibrat-nak
dariyaon ki nazr hue
dhire dhire sab tairak
teri nazar se bach paen
aise kahan ke hum chaalak
daman bachna mushkil hai
raste junun ke aatishnak
aur kahan tak sabr karen
karna paDega sina chaak
Ghazal
Dhup ke rath par haft aflak
Aashufta Changezi