DhunDhne se yun to is duniya mein kya milta nahin
sach agar puchho to sachcha aashna milta nahin
aap ke jo yar bante hain wo hain matlab ke yar
is zamane mein muhibb-e-ba-safa milta nahin
siraton mein bhi hai insanon ki baham iKHtilaf
ek se surat mein jaise dusra milta nahin
dair o kaba mein bhaTakte phir rahe hain raat din
DhunDhne se bhi to bandon ko KHuda milta nahin
hain pareshan aur hairan jaen to jaen kidhar
rah-gum-gashton ko manzil ka pata milta nahin
bul-hawas dil ki tarah har rang hai sarf-e-shikast
lala o gul mein bhi rang-e-der-pa milta nahin
hai yahan to sair-e-gulzar-e-KHayal nau-ba-nau
han asiro hum ko mazmun kuchh naya milta nahin
roiye rona zamane ka to 'kaifi' kis ke pas
koi is dil ke siwa dard-ashna milta nahin
Ghazal
DhunDhne se yun to is duniya mein kya milta nahin
Dattatriya Kaifi