dhum se sunte hain ab ki sal aati hai bahaar
dekhiye kya kuchh hamare sar pe lati hai bahaar
shayad azm-e-yar ki gulshan mein pahunchi hai KHabar
gil ke pairahan mein phuli nain samati hai bahaar
dekhne de baghban ab gulsitan apna mujhe
halqa-e-zanjir mein mehman bulati hai bahaar
shor ye ghunchon ke wa-shud ka nahin ai andalib
ab chaman mein tumtaraq apna dikhati hai bahaar
kyun phansa gulshan mein yun ja kar abas sauda tu ab
mein na kahta tha tujhe wo dekh aati hai bahaar
Ghazal
Dhum se sunte hain ab ki sal aati hai bahaar
Sauda Mohammad Rafi