dhuan sa ek samt uTh raha hai sharare uD uD ke aa rahe hain 
ye kis ki aahen ye kis ke nale tamam aalam pe chha rahe hain 
naqab ruKH se uTha chuke hain khaDe hue muskura rahe hain 
main hairati-e-azal hun ab bhi wo KHak hairan bana rahe hain 
hawaen be-KHud fazaen be-KHud ye ambar-afshan ghaTaen be-KHud 
mizha ne chheDa hai saz dil ka wo zer-e-lab gunguna rahe hain 
ye shauq ki wardat-e-paiham ye wada-e-iltifat-e-paiham 
kahan kahan aazma chuke hain kahan kahan aazma rahe hain 
surahiyan nau-ba-nau hain ab bhi jamahiyan nau-ba-nau hain ab bhi 
magar wo pahlu-tahi ki saugand ab bhi nazdik aa rahe hain 
wo ishq ki wahshaton ki zad mein wo taj ki rifaton ke aage 
magar abhi aazma rahe hain magar abhi aazma rahe hain 
ata kiya hai 'majaz' fitrat ne wo mazaq-e-latif hum ko 
ki aalam-e-ab-o-gil se haT kar ek aur aalam bana rahe hain
        Ghazal
Dhuan sa ek samt uTh raha hai sharare uD uD ke aa rahe hain
Asrar-ul-Haq Majaz

