dekhna har subh tujh ruKHsar ka
hai mutala matla-e-anwar ka
bulbul o parwana karna dil ke tain
kaam hai tujh chehra-e-gul-nar ka
subh tera dars paya tha sanam
shauq-e-dil mohtaj hai takrar ka
mah ke sine upar ai shama-ru
dagh hai tujh husn ki jhalkar ka
dil kun deta hai hamare pech-o-tab
pech tere turra-e-tarrar ka
jo sunya tere dahan sun yak bachan
bhed paya nusKHa-e-asrar ka
chahta hai is jahan mein gar bahisht
ja tamasha dekh us ruKHsar ka
aarsi ke hath sun Darta hai KHat
chor kun hai KHauf chaukidar ka
sar-kashi aatish-mizaji hai sabab
nasehon ko garmi-e-bazar ka
ai 'wali' kyun sun sake naseh ki baat
jo diwana hai pari-ruKHsar ka
Ghazal
Dekhna har subh tujh ruKHsar ka
Wali Mohammad Wali