dekhen mahshar mein un se kya Thahre
the wahi but wahi KHuda Thahre
Thahre us dar pe yun to kya Thahre
ban ke zanjir-e-be-sada Thahre
sans Thahre to dam zara Thahre
tez aandhi mein shama kya Thahre
zindagani hai ek nafas ka shumar
be-hawa ye charagh kya Thahre
jis ko tum la-dawa batate the
tumhin us dard ki dawa Thahre
ishq ka jurm sahl kaam nahin
ki har ek laeq-e-saza Thahre
bim-o-ummid ki kashakash mein
ek do-rahe pe jaise aa Thahre
roti aankhen jhalak na dekh sakin
bahte zaKHmon pe kya dawa Thahre
'arzu' wo hamein nasib kahan
kan tak ja ke jo sada Thahre
Ghazal
Dekhen mahshar mein un se kya Thahre
Arzoo Lakhnavi