dekha use, qamar mujhe achchha nahin laga
chhu kar use, guhar mujhe achchha nahin laga
chaha use to yun ki na chaha kisi ko phir
koi bhi umr bhar mujhe achchha nahin laga
aaina dil ka toD ke kahta hai sang-zan
dil tera toD kar mujhe achchha nahin laga
dil se mere ye kah ke sitamgar nikal gaya
dil hai tera khanDar mujhe achchha nahin laga
ugla safar ho mere KHuda rahaton bhara
jiwan ka ye safar mujhe achchha nahin laga
dekha jo is ke dar pe raqibon ka ek hujum
phir us ke ghar ka dar mujhe achchha nahin laga
tajdid-e-rasm-o-rah pe wo to raha musir
wo bewafa magar mujhe achchha nahin laga
is ka hi zikr bas tumhein achchha lage 'sahab'
kahte ho tum magar mujhe achchha nahin laga
Ghazal
Dekha use, qamar mujhe achchha nahin laga
Laiq Akbar sahaab