dekha tujhe to aankhon ne aiwan saja liye
jaise tamam khoe hue KHwab pa liye
jitne the tere mahke hue aanchalon ke rang
sab titliyon ne aur dhanak ne uDa liye
aisi ghuTi fazaon mein kaise jiyenge wo
kuchh qafile jo aae hain taza hawa liye
in sar-phiri hawaon se kuchh aashna to hun
gahre samundaron mein na kashti ko Daliye
izhaar kijiye ki zara karb kam to ho
ai dosto dukhon ko dilon mein na paliye
KHud hi uThaen apne junun ki jarahaten
ye rog dusron ke na khate mein Daliye
pahle ye kohsar to tasKHir kijiye
'farigh' abhi falak pe kamanden na Daliye
Ghazal
Dekha tujhe to aankhon ne aiwan saja liye
Farigh Bukhari