dekha hua sa kuchh hai to socha hua sa kuchh
har waqt mere sath hai uljha hua sa kuchh
hota hai yun bhi rasta khulta nahin kahin
jangal sa phail jata hai khoya hua sa kuchh
sahil ki gili ret par bachchon ke khel sa
har lamha mujh mein banta bikharta hua sa kuchh
fursat ne aaj ghar ko sajaya kuchh is tarah
har shai se muskuraata hai rota hua sa kuchh
dhundli si ek yaad kisi qabr ka diya
aur mere aas-pas chamakta hua sa kuchh
Ghazal
Dekha hua sa kuchh hai to socha hua sa kuchh
Nida Fazli