dekh o qatil basar karte hain kis mushkil se hum
chaaragar se dard-e-nalan dard se dil dil se hum
hae kya be-KHud kiya hai ghaflat-e-umid ne
haal-e-dil kahte hain apna phir usi qatil se hum
rashk aada ne kiye raushan badan mein ustuKHwan
sham-e-mahfil ho ke uTThe aap ki mahfil se hum
is ko kahte hain wafadari ki baad-az-qatl bhi
dagh-e-KHun ho kar na chhuTe daman-e-qatil se hum
tul thi rah-e-adam ghabra ke soe qabr mein
panw phailae thake jab duri-e-manzil se hum
jism-e-raushan se nazar aate hain jalwe ruh ke
husn-e-laila dekhte hain parda-e-mahmil se hum
KHali az ehsan nahin ye bhi ki waqt-e-iztirab
KHush to ho jate hain tere wada-e-baatil se hum
aao aapas mein samajh len ghair kahe ko sune
tum kaho dil se hamare kuchh tumhaare dil se hum
sun ke ro dete hain aksar surat-e-zaKHm-e-jigar
aap sharmate hain apne KHanda-e-baatil se hum
rashk hai hasrat pe us ki dil mein aata hai yahi
apne qalib ko badal len qalib-e-bismil se hum
sina-e-dil mein hujum-e-dagh-e-hasrat hai 'nasim'
phul chun lete hain apne gulshan-e-hasil se hum

Ghazal
Dekh o qatil basar karte hain kis mushkil se hum
Naseem Dehlvi