اردو हिंदी
Dekh kar jauban tera kis kis ko hairani hui | Shaahi Shayari
dekh kar jauban tera kis kis ko hairani hui

Ghazal

Dekh kar jauban tera kis kis ko hairani hui

Dagh Dehlvi

;

dekh kar jauban tera kis kis ko hairani hui
is jawani par jawani aap diwani hui

parde parde mein mohabbat dushman-e-jaani hui
ye KHuda ki mar kya ai shauq-e-pinhani hui

dil ka sauda kar ke un se kya pashimani hui
qadr us ki phir kahan jis shai ki arzani hui

mere ghar us shoKH ki do din se mehmani hui
bekasi ki aaj kal kya KHana-virani hui

tark-e-rasm-o-rah par afsos hai donon taraf
hum se nadani hui ya tum se nadani hui

ibtida se intiha tak haal un se kah to dun
fikr ye hai aur jo kah kar pashimani hui

gham qayamat ka nahin waiz mujhe ye fikr hai
din kab baqi raha duniya agar fani hui

tum na shab ko aaoge ye hai yaqin aaya hua
tum na manoge meri ye baat hai mani hui

mujh mein dam jab tak raha mushkil mein the timardar
meri aasani se sab yaron ki aasani hui

is ko kya kahte hain utna hi baDha shauq-e-visal
jis qadar mashhur un ki pak-damani hui

bazm se uThne ki ghairat baiThne se dil ko rashk
dekh kar ghairon ka majma kya pareshani hui

dawa-e-tasKHir par ye us pari-wash ne kaha
aap ka dil kya hua mohr-e-slemani hui

khul gain zulfen magar us shoKH mast-e-naz ki
jhumti baad-e-saba phirti hai mastani hui

main sarapa sajde karta us ke dar par shauq se
sar se pa tak kyun na peshani hi peshani hui

dil ki qalb-e-mahiyat ka ho use kyunkar yaqin
kab hawa miTTi hui hai aag kab pani hui

aate hi kahte ho ab ghar jaenge achchhi kahi
ye misal puri yahan man-mani ghar jaani hui

arsa-e-mahshar mein tujh ko DhunD laun to sahi
koi chhup sakti hai jo surat ho pahchani hui

dekh kar qatil ka KHali hath bhi ji Dar gaya
us ki chin-e-astin bhi chin-e-peshani hui

kha ke dhoka us but-e-kamsin ne daman mein liye
ashk-afshani bhi meri gauhar-afshani hui

bekasi par meri apni tegh ki hasrat to dekh
chashm-e-jauhar bhi ba-shakl-e-chashm-e-hairani hui

bekasi par 'dagh' ki afsos aata hai hamein
kis jagah kis waqt us ki KHana-virani hui