dayar-e-dil ki raat mein charagh sa jala gaya
mila nahin to kya hua wo shakl to dikha gaya
wo dosti to KHair ab nasib-e-dushmanan hui
wo chhoTi chhoTi ranjishon ka lutf bhi chala gaya
judaiyon ke zaKHm dard-e-zindagi ne bhar diye
tujhe bhi nind aa gai mujhe bhi sabr aa gaya
pukarti hain fursaten kahan gain wo sohbaten
zamin nigal gai unhen ki aasman kha gaya
ye subh ki safediyan ye dopahar ki zardiyan
ab aaine mein dekhta hun main kahan chala gaya
ye kis KHushi ki ret par ghamon ko nind aa gai
wo lahr kis taraf gai ye main kahan sama gaya
gae dinon ki lash par paDe rahoge kab talak
alam-kasho uTho ki aaftab sar pe aa gaya
Ghazal
Dayar-e-dil ki raat mein charagh sa jala gaya
Nasir Kazmi