اردو हिंदी
Dast-e-KHirad se parda-kushai na ho saki | Shaahi Shayari
dast-e-KHirad se parda-kushai na ho saki

Ghazal

Dast-e-KHirad se parda-kushai na ho saki

Tilok Chand Mahroom

;

dast-e-KHirad se parda-kushai na ho saki
husn-e-azal ki jalwa-numai na ho saki

rang-e-bahaar de na sake KHarzar ko
dast-e-junun mein aabla-sai na ho saki

ai dil tujhe ijazat-e-fariyaad hai magar
ruswai hai agar shunawai na ho saki

mandir bhi saf hum ne kiye masjiden bhi pak
mushkil ye hai ki dil ki safai na ho saki

fikr-e-maash o ishq-e-butan yaad-e-raftagan
in mushkilon se ahd-barai na ho saki

ghafil na tujh se ai gham-e-uqba the hum magar
dam-e-gham-e-jahan se rihai na ho saki

munkir hazar bar KHuda se hua bashar
ek bar bhi bashar se KHudai na ho saki

KHud zindagi burai nahin hai to aur kya
'mahrum' jab kisi se bhalai na ho saki