Dasne lage hain KHwab magar kis se boliye
main jaanti thi pal rahi hun sanpoliye
bas ye hua ki us ne takalluf se baat ki
aur hum ne rote rote dupaTTe bhigo liye
palkon pe kachchi nindon ka ras phailta ho jab
aise mein aankh dhup ke ruKH kaise kholiye
teri barhana-pai ke dukh banTte hue
hum ne KHud apne panw mein kanTe chubho liye
main tera nam le ke tazabzub mein paD gai
sab log apne apne azizon ko ro liye
KHush-bu kahin na jae pa israr hai bahut
aur ye bhi aarzu ki zara zulf kholiye
taswir jab nai hai naya canwas bhi hai
phir tashtari mein rang purane na gholiye
Ghazal
Dasne lage hain KHwab magar kis se boliye
Parveen Shakir